Stomach Ulcer Symptoms in Hindi

What is Peptic or Gastric Ulcer Disease



Ulcer kya hai? Ulcer stomach me hone wali bimari hai. Amasay(small intestine) ke andar hone wali infection, chhale, or jakham ko stomach ulcer kehte hai. Jab Stomach me ulcer ho jata hai toh Intestine ki suraksha parat tut jati hai. Iska sahi samay par ilaj na kraya jaye aur agar Ulcer jyada ho jaye yani pak jaye toh ye phat bhi skta hai. Peptic Ulcer ya Gastric Ulcer ye tab hota hai, jab bhojan pachane wala Amal Intestine (aant) ki diwaro ko nukshan pahuchane lagta hai.
 

Peptic or Gastric Ulcer by remedyhindi.blogspot.com

Ulcer ke Lakshan (Symptoms)

1 Syomach me dard hona
2 Sine (Heart) me jalan hona
3 ulti (Vomiting) hona aur uske sath khoon (Blood) bahar aana.
4 Dakar aur Gas jyada hona
5 wajan (weight)  me kami hona.

Ulcer ka Garelu Ilaj (Treatment)


1. Cabbage (Patta Gobhi) – Sabse pehle Cabbage (Patta Gobhi) ko dho le, phir half kaat le aur uska joos nikal le aur usme thoda pani bhi mila sakte hai aur din me ek baar jarur piye ya aap raat ko sone se pehle bhi pi sakte hai. Cabbage ulcer ko thik karne me bahut hi labhkari hai. Ye asani se mil jata hai, isliye aap iska estemal bhi kr sakte hai.
2 Maithi Dane (Fenugreek) – Maithi dane ko aap ek table spoon ek Glass pani (Water) me daal se aur garam kare, jab tak paani aadha glass na ho jaye. Phir Maithi dane ko chhan le aur usme ek Table spoon Honey (madhu) mila le aur din me ek baar piye.
3 Honey – Honey Ayurveda me sabse bharosemand upay hai. Daily aap 1 ya 2 table spoon Sudh Honey lena chahiye, Ulcer me Honey bahut labhkari hota hai.
4 Amla ka murabba or Gulkand khana labhkari hota hai.
5 Naspati aur Anar ka sevan Kare, isme labh milega.
6 Nariyal Pani peena chahiye.
7 Khane me sendha Namak ka proyog krna chahiye.

Ulcer hone ke kuch karan


ulcer symptoms by remedyhindi.blogspot.com

Ulcer ko badane wale kuch khane aur pine ki galat habit ki wajah se aur uske karan banne wale Acid ki wajah se Ulcer ko aur Bada dete hai. Es Bimari ek bada karan Tanav (Depression) bhi hai aur Smoking se bhi Ulcer ka khatra Badh jata hai Ulcer hone ka ek karan Bacteria bhi hai, jiska naam Helicobacter Pylori Bacteria hai. Aap agar Ulcer bimari se grasit yani pidit hai toh aap Tomato, Lemon, Orange, Pine Apple etc ka upyog krna band kar de. Isliye es Bimari me inn chijo se duri bana lena chahiye.

Ulcer me kya nahi karna chahiye  

1 Garam Masale or Lal Mirch
2 Ankurit anaj ka sevan na kare
3 Til (Sesame) or Gud ka upyog na kare
2 Coffee or Tea
3 Milk
4 Mutton
5 Smoking Na Kare
6 Wine (Sharab) Chhor de

Ulcer me kya karna chahiye

1 Samay (Time) pe bhojan kare.
2 Pratidin (Per day) kam se kam 8 gante(Hour) ki Nind le.
3 Kafi der tak bhookha na rahe aur ek sath jyada matra me bhojan na kare.
4 Humesha khuss rehne ki koshish kare.
5 Jyada se jyada Pani(water) pine ki koshish kare, isse aapko labh milega.
6 Sabse pehle toh niymit dincharya apnana chahiye, apne aapko tanavmukt kare.
7 Daily exercise kare.

Stomach ulcer in hindi or urdu, Natural Home Remedies for Stomach Ulcer in hindi, Stomach ulcer ka Gharelu ilaj, Stomach ulcer ka ayurvedic upchar



NOTE: Ye Post Sirf Aapki Jankari (Information) ke Liye hai, Adhik Jankari ke liye apne Doctor se consult kare. Thank You

टिप्पणियाँ